ISPR Songs

Humain Aage Hi Jana Hai

humain agay hi jana hai lyrics

This song was released by ISPR in 2018 in memory of martyred kids of Army Public School Peshawar. We have put down the lyrics of the song Humain Aage Hi Jana Hai in Urdu and Roman. Watch the song video and read lyrics of this heart touching song.

Song Info:

Lyrics: Imran Raza
Composer: Sahir Ali Bagga
Singer: Zayer Ali Bagga

 

 

Lyrics in Urdu

 

Humain Aage Hi Jana Hai Urdu Lyrics

 

Lyrics in Roman

Abhi Rahta Hai Har Dill Mein Na Masumoon Ka Ghum Bhoolay
Naa Maa Bhooli Hai Bachoon Ko Na Ghum Un Ka Hain Hum Bhoolay

The Dekhay Zakhm Jo Hum Nay Lagay Apnay Gulaabon Par
Lahoo Kay The Nishaan Kitnay Parrey Dill Ki Kitaabon Par

Karay Naa Saazishen Phir Say Naa Sharr Phaila Sakay Koi
Jo Sochain Ilm Rakhti Hoon Naa Phir Bahka Sakay Koi

Chalay Gaa Chall Dushman Joo Usay Nakaam Banaana Hai
Dushman Ka Kaam Hai Bhatkaana Manzill Say Door Hataana Hai

Hamaara Hai Yahi Maqsad Hamein Aagay Hi Jaana Hai
Hamein Aagay Hi Jaana Hai

Chalay Gaa Chall Dushman Jo Usay Nakaam Banaana Hai
Dushman Kaa Kaam Hai Bhatkaana Manzill Say Door Hataana Hai

Woh Yaadein Surkh Hain Jab Ilm Kaa Hum Nay Lahoo Dekhaa
Thaa Niklaa Ilm Ka Sooraj Wahin Hum Nay Taloo Dekhaa

Jo Taariki Say Niklaa Hai Woh Din Roshan Rahay Ga Ab
Jo Masumoon Say Haara Hai Andhaira Kiya Karay Gaa Ab

Chalay Gaa Chall Dushman Jo Usay Nakaam Banaana Hai
Dushman Ka Kaam Hai Bhatkaana Manzill Say Door Hataana Hai

Hamaara Hai Yahi Maqsad Hamein Aagay Hi Jaana Hai
Hamein Aagay Hi Jaana Hai

Chalay Gaa Chall Dushman Jo Usay Nakaam Banaana Hai
Dushman Kaa Kaam Hai Bhatkaana Manzill Say Door Hataana Hai

Jahaan Par Zakham Dekhay The Wahaan Ab Phool Khiltay Hain
Jahaan Tootay Huway Dill The Wahaan Sab Mill Kay Rehtay Hain

Chalain Jo Saath Hum Mill Kar To Manzill Paas Ajaaye
Jo Apnaa Hai Hamaara Hai Safar Mein Saath Ajaaye

Chalay Gaa Chall Dushman Jo Usay Nakaam Banaana Hai
Dushman Ka Kaam Hai Bhatkaana Manzill Say Door Hataana Hai

 

About the author

Saaim

I am Saaim, a patriotic Paki. I love national songs that's why I have made this website. Here I will provide my readers with Urdu lyrics of all Pakistani national songs (milli naghmay).

Add Comment

Click here to post a comment